Hum jab apne Computer ya Laptop me kaam karte hai to bahut se jaruri file ya window tab open hoti hai.Kabhi kabhi Office ya Ghar par kaam karte samay humme apna system chord kar kuch der ke lie kahi jana hota hai to ya to hum apne system ko waise he chord kar chele jate hai ya phir shut down karke.
Window Ya Application Ke Bich Ek Dusre Par Jana
Kaam karte samay humme aksar Window ya Application ke bich ek dusre par jane ki jarurat padti he rahti hai.Jiske lie humme baar baar mouse pakadne ki jarurat hoti hai.Alt+Tabis buttom ke jariye hum aasani se window ya application par ek durse par ja sakte hai.
Desktop Par Jana
Bahut saare Window Tab ya Application khule honi ki wajh se humme Desktop par jane me paresaani hoti hai.Ek ek karke humme Tab ya Application ko minimize karna padta hai.
Window+D is buttom ko dabate he hum direct Desktop par aa jate hai.Phir use buttom ko daba kar hum wapas use Tab ya Application par aa jate hai jaha kam kaam kar rhe hote hai.